13-04-2005, 11:34 PM
|
#1 (permalink)
|
| | Lyrics for u guys...an added song..Diye jalte hain........ .... For Lyrics Lovers....here is lyrics of an old song....really old guys.................
aadhaa hai chandramaa raat aadhii
rah na jaae terii merii baat aadhii, mulaaqaat aadhii
aadhaa hai chandramaa...
aas kab tak rahegii adhuurii
pyaas hogii nahii kyaa ye puurii
pyaasaa-pyaasaa gagan pyaasaa-pyaasaa chaman
pyaase taaron kii bhii hai baaraat aadhii
aadhaa hai chandramaa...
sur aadhaa hai shyaam bhi.aadhaa
rahaa raadhaa kaa pyaar bhii aadhaa
nain aadhe khile honth aadhe mile
rahii pal me milan kii vo baat aadhii
aadhaa hai chandramaa...
piyaa aadhii hai pyaar kii bhaashhaa
aadhii rahane do man kii abhilaashhaa
aadhe chhalake nayan aadhe chhalake nayan
aadhii palako.n kii bhii hai barasaat aadhii
aadhaa hai chandramaa...
Diye jalte hainnn............
diye jalate hain, phul khilate hain
badii mushkil se magar, duniyaa mein log milate hain
jab jis vaqt kisiikaa, yaar judaa hotaa hai
kuchh naa puchho yaaron dil kaa, haal buraa hotaa hai
dil pe yaadon ke jaise, tiir chalate hain
diye ...
daulat aur javaanii, ek din kho jaatii hai,
sach kahataa huun, saarii duniyaa
dushman ban jaatii hai
umr bhar dost lekin, saath chalate hain
diye ...
is rang-dhuup pe dekho, haragiz naaz naa karanaa,
jaan bhii maange, yaar to de denaa, naaraaz naa karanaa
rang ud jaate hain, dhuup Dhalate hai.n
diye ... | | |
| | |